- " Insaan Apni TAUheen Muaaf Kar Sakta Hai Bhool Nahi Sakta! " "Kabhi Na Girna Kamaal Nahi Bal'ke Gir Ke Sanbhal Jaana Kamaal hai.!"
- "Jiska raabita khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota"
- Naakaam wo hota hai Jiski umeedein duniya se waabasta hon
- ''Do tarah se cheezen dekhne me Chotti nazar aati hein"Ek dooor se.., or Doosra gharoor se..."
- Apne dushman ko hazaar mouqay do ke woh tumhara dost ban jaye.Lekin...Apne dost ko aik bhi mouqa na do ke woh tumhara dushman ban jaye.
- Mein baron ki izzat is liye karta hun ke unki nekiyaan mujse zaida hen or choton se pyar is liye karta hun ke un ke gunah mujh se kam hen"
- Jisne Kisi Ko Akele Me Nasihat Ki Usne Usse Sanwar Dya.Or Jisne Kisi Ko Sb Ke Samne Nasihat Ki Usne Usko Mazed Bigar Dya.
- Khush mizaji hamesha khoobsurti ki kami ko poora kar deti hai,Laykin Khoobsurti khush mizaji ki kami ko poora nahi kar sakti
- "Jis shakhs ke ache DOST hon, woh kabhi ghareeb nahi hota.
- Agar tum Mout ki Raftar ko Daikh Laity to tum Zaroor Ummeedo'n Or Umango'n Sey Nafrat karty Or hargiz in Me Maghroor Na hoty.
- “Saza Dene Main Dair Karo Yahan Tak Ke Tumhara Ghussa Thanda Ho Jaye…”
- "Ager kisi ko ache tareeke se phechanna hai to us se mulakat karo kiun ke insaan apni zibaan ke neeche chupa howa hota hai."
- Woh Gunah jis ka tumhe ranj ho Allah k nazdik us neki se behtar hai ji se tum mein ghuroor peda ho jaye.
- "zindagi ki asal khoubsurati ye nahi k aap kitney khush hain, balke zindagi ki asl khoubsurati to ye hai ke doseray aap se kitnay khush han".
- H. Ali (AS):Jo duniya chahta hai usay maut dhunti hai taake usay duniya se nikaal bahar kare. Aur jo aakherat chahta hai usay duniya dhundti hai taake uski rozi oos tak pahu’ncha de.Source : Tajalliyate Hikmat (Duniya)
- Rasule Khuda (SAWW):Jab kabhi koi fakir raat ke waqt darwaze par dastak dekar kuch maange, to kabhi bhi oosay thukrana nahi.Source : Uddatud Dai
- I. Sadiq (AS)Har cheez ki zakaat hai, aur ilm ki zakaat ye hai ke jo mustahak hai unhe taalim di jaye.Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)
- Rasule Khuda (SAWW)Jo koi Subhanallah kahega Allah uske liye Jannat me har tarah ke fal (fruit) wale 10 darakht lagayega.Source : Uddatud Dai
- Aye wo log jo imaan laye ho, jab juma ke din namaz ke liye pukara jayeto Allah ke zikr ke liye tezi se daudo, aur kharid o farokht band kar do, ke ye tumhare liye ziyada behtar hai, agar tum samjho to.Source : Holy Quran(Sure Juma – 9)
- I. Sadiq (AS)Ek lukma haraam khane ka tark karna (bachna), Allah ko 1000 rakat mustahab namaz se zyada pasand hai.Rasule Khuda (SAWW)
- Ek shakhs ka apni zindagi mein ek chandi ka sikka khairat mein dena maut ke waqt 100 sikke dene se behtar hai. Source : Uddatud Dai
- Rasule Khuda (SAWW)Jo koi sone se pehle Sure Takaasur (sura no. 102) ki tilawat karega, wokabr ki takleef se mehfooz rahega.Source : Uddatud Dai
- H. Ali (AS)Char cheez Jannat ki taraf bulati hai: Musibat ko chhupana, chhupakar sadqa dena, waledain se neki, aur bahut zyada ‘La elaha Illallah’ kehna.Source : Tajalliyate Hikmat
- Rasule Khuda (SAWW)Allah ke 99 naam hai, jo koi usay in namo’n se pukarega uski Dua mustajab hogi aur jo koi inhe yaad karega wo Jannat me daakhil hoga.Source : Uddatud Dai
- I. Sadiq (AS)Jo koi subah ko 4 baar ‘Alhamdo Lillahe Rabbil Aalamin’ kahe to usne us din ke liye Allah ka shukr adaa kiya, aur agar shaam me kahe to us raat ke liye shukr adaa kiya.Source : Uddatud Dai (Hadees 3)
- H. Ali (AS)Jo koi raat ko sone se pehle 3 baar Sure Ikhlaas (Qulho Wallaho Ahad) padhe, to Allah 50000 farishte bhejega jo us raat uski hifaazat karege.Source : Uddatud Dai
- Rasule Khuda (SAWW)Jo koi kabrastan me daakhil hokar Sure Yasin padhta hai, Allah wahan k sab marhumin par us din azaab kam karta hai, aur us shaks k liye wahandafan marhumin ki ginti k barabar hasnaat likhe jayege.Source : Uddatud Dai (Hadees 375)
- I. Sadiq (AS)Wo ghar jahan music bajta hai wo haadso’n se mehfooz nahi hai. Aisi jagah Dua qabul nahi hoti. Farishte aisi jagah daakhil nahi hote.Source : Greater Sins 2 (Singing – 5)
- I. Sadiq (AS)Be shak, jab koi shakhs jhoot bolta hai to usay Namaz-e-Shab padhne ka mauka nah milta. Aur jab usay ye mauka nahi milta, to uski rozi me izaafa nahi hota.Source : Source : Greater Sins 2 (Lying – 30)
- I. Sadiq (AS)Ek dirham haraam paise ka tark karna, Allah ke nazdeek 70 qabool-shuda Hajj ke barabar hai.Source : Greater Sins 1 (Taqwa – 2)
- H. Ali (AS)Logon ke darmiyan aise raho ke agar aap mar jaate ho to wo aap par roye aur agar aap zinda ho to wo aap ke saath ke liye tarse.Source : Nahjul Balagah (Saying 9)
- Rasule Khuda (SAWW)Jo shakhs is duniya me bade maze ke saath behuda baatein aur gaali galoch karta hai, jahannum mein uske mooh se puss aur khoon bahega.Source : Greater Sins 1 (Qazaf)
- H. Ali (AS)Sab se bada aib ye hai k tum un baton ko doosro’n k liye aib qaraar do jo tum mein khud maujood ho.Source : Tajalliyate Hikmat (Aib-1)
- Rasule Khuda (SAWW)Agar aap MUSTAHAB namaz padh rahe ho aur agar aap ke waalid (baap) aap ko bulate hai to namaz mat todo; magar aap ki MAA agar bulati hai to namaz tod do.Source : Greater Sins 1 (Aaq-e-Waledain)
- Rasule Khuda (SAWW)Wo jo kisi jaadugar, ojha, kaazib ke paas jaata hai aur uske kahe ko sach qaraar deta hai, wo Allah ki sab kitabo’n ki nazar me KAAFIR ho gaya.Source : Greater Sins 2 (Sorcery)
- H. Ali (AS)Neend kitni buri cheez hai jo qaleel (Chhoti) umr ko kam kar deti hai aur aur kaseer (zyada) ajr o sawab ko khatm kar deti hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Neend)
- H. Ali (AS)Jisne tabeeb (doctor) se apni bimari chhupayi, usne apne jism ke saath khayant ki.Source : Tajalliyate Hikmat (Bimari)
- H. Ali (AS)Agar namaz padhnewale ko ilm ho jaye ke kaisi rehmato’n ne usay gher rakkha hai to wo kabhi sajde se sar na uthaye.Source : Tajalliyate Hikmat (Namaz)
- H. Ali (AS)Tumhare nafso’n ki JANNAT ke iwa koi aur qeemat nahi, lihaza is ko Jannat ke alawa kisi aur cheez ke badle me (hargiz) na becho.Source : Tajalliyate Hikmat (Jannat)
- H. Ali (AS)(ILAHI) mai ne teri ibadat na tere Jahannum ke khauf se ki hai aur na teri Jannat ki laalach me, balke maine tujhe ibadat ke layak paya is liye teri ibadaat ki.Source : Tajalliyate Hikmat (Ibadat)
- Holy QuranMomeneen to apas me bhai bhai haito apne do bhaiyo’n me samjhota kara diya karo & Allah se darte raho taaki tum par rahem kiya jaaye.Source : Holy Quran (Sure Hujraat – 10)
- H. Ali (AS)Bad’tareen takabbur / ghamand insaan ka apne rishtedaro’n aur apne hi jaise logo’n se takabbur karna.Source : Tajalliyate Hikmat (Taqabbur)
- I. Sadiq (AS)Har wo muslim jo kisi marhoom ki taraf se amal-e-khair karta hai to Allah usko uska dugna sila dega & marhoom ko bhi iska sawab milega.Source : Uddatud Dai
- I. Sajjad (AS)Ta’jjub hai! Log bimari ke khauf se khana chhod dete hain magar azaab kekhauf se gunaah se nahi bachte.Source : Tanzeemul Makatib (Dec-04)
- I. Md. Taqi (AS)Allah par bharosa har bulandi tak pahunchne ka zariya hai.Source : Tanzeemul Makatib (Dec-04)
- I. Md. Taqi (AS)Faith in Allah is the path to all kinds of greatness.Source : Tanzeemul Makatib
- Holy QuranYaqeenan, jo log paak-daman, be-khabar, momena aurto’n par gande ilazaam lagate hai, un par dunia & akherat me Allah ki la’nat hai & badasakht azaab hoga.Source : Holy Quran (Sure Noor (24-23)
- H. Ali (AS)Jo shakhs ek maaldar aadmi ke paas agar sirf uski daulat ki wajah se jaata hai aur uski izzat karta hai, to who apna do-tihaai (two-third) mazhab kho deta hai.Source : Islamic Morals (13-Greed & its harms)
- H. Ali (AS)Ai logo’n! Jab kabhi tum kuch sikho to us par amal karo, taaki tumhe hidaayat haasil ho.Source : Islamic Morals (2- Rebuke for those..)
- Rasule Khuda (SAWW)Kisi shaadi-shuda ki 2-rakat namaz, ek gair shaadi-shuda ki raat bhar ki ibaadat aur 1 din ke roze se behtar hai.Source : shiarightpath.quran (24:32)
- Holy QuranAye Imaan walo’n! Mushrekeen to yaqeenan najis hai…Source : Holy Quran (Sure Tauba – 9:28)
- Rasule Khuda (SAWW)Wo muslim jo haisiyat ke bawajood, qarz chukane me DERI karta hai, usne tamaam muslimo’n par ZULM kiya.Source : Greater Sins II
- H. Ali (AS)Jo duniya ki khidmat karta hai duniya usay apna khadim bana leti hai & jo Allah Ta’la ki khidmat karta hai, duniya uski khadim ho jati hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Duniya)
- H. Ali (AS)Moazzin ki (azaan ki) awaaz par (namaz ke liye) daud padne se rozi badhti hai.Source : Tanzeemul Makatib (Dec-04)
- Rasule Khuda (SAWW)Jo shakhs apne kaam se is liye palat aaye ke raaste me bad-shaguni ho gayi hai, to usne shirk kiya hai.Source : Tanzeemul Makatib
- H. Ali (AS)Bila shubaa, aaj amal hai hisaab nahi aur kal hisab hoga amal nahi.Source : Tajalliyate Hikmat (Amal)
- Rasule Khuda (SAWW)Apni namaz ke baad 30 baar kaho: Subhanallahi Walhamdulillahi Wa Laailaaha Illallahu Wallahu Akbar…ye alfaaz aadmi ko dukh se, deewar ke girne se, aag se, paani me doobne se, junglee janwar ke humle se, kharab maut se aur din me aasman se naazil honewali balaa se mehfooz rakhte hai.Source : Uddatud Dai
- H. Ali (AS)Amal bagair kisi riyaa kari ya dikhawe ke anjaam do, kyunki jo Allah ke ilawa kisi aur ke liye amal karta hai, to Allah usay oosi ke sahare chhod deta hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Riyaakari)
- I. Baqir (AS)Agar koi shakhs kuch haasil karne ya dunyavi kaam pura karne k liye Haj ko taalta hai to wo dekhega ke log Haj ko jaakar laut aaye magar na to uska maqsad haasil hua aur na kaam pura hua.Source : Greater Sins III
- H. Ali (AS)Sabse badaa gunaah wo hai jiska karnewala oose chhota samjhe.Source : Greater Sins III
- Holy QuranAye aulade Adam! Har namaz ke waqt bun-sawar ke nikhar kar jaaya karo, aur khao aur piyo, aur fizul kharchi mat karo (kyunki) Allah fizul kharch karne walo ko dost nahi rakhta.Source : Holy Quran (Sure A’araaf A – 31)
- H. Ali (AS)Jiski tamannaei’n zyada hogi, uska amal kharab ho jaayega.Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 22)
- H. Ali (AS)Jis se tum ne apni haajat bayaan kar di, uske saamne tum be-izzat ho gaye.Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 53)
- H. Ali (AS)Aye gunah par gunah kiye jaane wale! Tera baap (Janabe Adam) sirf ek gunah ki wajah se jannat se nikal diya gaya tha.Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 88)
- H. Ali (AS)Usay apna koi raaz na batao jiska koi raaz tumhare paas na ho.Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 104)
- I. Sajjad (AS)Sabr imaan ke liya aisa hai jaise jism ke liye sir, jiske paas sabr nahi hai uske paas imaan nahi hai.
- I. Reza (AS)Jiske liye roze Aashura ek musibat, girya aur buka ka din hai, Allah – Azz wa Jall – roze Qayamat ko uske liye khushi aur rahat ka din banaega.Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)
- I. Sadiq (AS)Jo humpur huwe zulm pe gumzada hai, uski har saans Tasbeeh hai, aur uska maatam Ibaadat hai. (Amaali pg 338)Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)
- I. Reza (AS)Agar tum I. Husain (AS) pe itna roye ke tumhare gaal par se aansoo bahe, to Allah tumse huwe sab gunaah maaf karega, chaahe wo chhote ho ya bade, kam ho ya zyada.Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)
- I. Reza (AS)Agar tum chaahte ho ke hamare saath Jannat ke aala maqaam me raho, to hamare gum me gumgeen raho aur hamari khushi me khush raho. (W..)Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)
- Rasule Khuda (SAWW)Ai Fatima (SA): Roze Qayamat tum aurto’n ki shafa’at karna aur main mardo’n ki aur har azadar-e-Husain ko hum haath pakadkar Jannat me le jaayenge.Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)
- I. Reza (AS)Jo roze Ashura apni (dunyavi) haajat talab karne se parhez karta hai, to Allah uski dunyavi aur aakherat ki haajat poori karta hai. (Wasail v 14, p 504)Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)
- Rasule Khuda (SAWW)“Aye Fatima! Roze Qayamat har aankh royegi siwa uske jo Husain (AS) ke gum me royi ho. Yaqeenan, wo aankh muskurayegi & usay Jannat ki nemato’n ki basharat di jayegi.”Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith
- I. Sadiq (AS)Aisa koi nahi hai jo I. Husain (AS) k ash’aar padhe, roye & dusro’n ko rulaye, magar siwa Allah uspar Jannat wajib kare aur gunaah maaf kare.Source : Al-Islam.org (Azadari 40-Hadith)
- I. Husain (AS) ki shahadat ke din aasman se KHOON KI BAARISH huwi thi.(Thakhaa’er al-Uqba p. 144, 145, 150; Al Sawaaeqh al Muhriqah p 116, 192)Both non-shia books San 685 mein (jab Husain AS shaheed huwe) Britain me KHOON KI BAARISH huwi aur doodh & maska KHOON me tabdeel ho gaye. (Anglo-Saxon Chronicle)
- I. Reza (AS)Beshaq, shahdate Husain (AS) ki hararat momeneen k dilo’n me hogi, jo kabhi bhi kam nahi hogi. (Mustadrak Wasa’il v 10, p 318)
- H. Nuh (AS) ka asli naam Abdul Gaffar tha.(Allah ki khushi haasil karne wo 1000 saal roye). Is liye unko NUH bulaya gaya. NUH yaani chillake rona.Source : (Al Sawi al Jalalayn v 2 p 132 Egypt)
- Rasule Khuda (SAWW)Jo shakhs mere farzand Husain AS par Ashoor k din royega, Khuda usko qayamat ke din nabiyo k saath Jannat me daakhil karega.Source : Tanzeemul Makatib
- Mafatihul JinanShabe Ashur @ 4 rakaat namaz padhe. HAR rakat me S. Hamd ke baad A. Kursi, S. Ikhlaas, S. Falaq, S. Naas (sab 10 martaba). Baad Salaam 100 martaba S. Ikhlaas padhe.Source : Almanac
- Mafatihul JinanShabe Ashur @ 1) Ziyada Salawat padhe. 2) La’an padhe Allahummal an qatalatal Husain AS 3) Ziyarate Imam Husain AS padhe 4) Namaze Tahajjud Padhe.Source : Almanac (Muharram)
- Mafatihul JinanRoze Ashur: Amale Ashura kare. La’an bheje: Allahummal’an qatalatal Husain wa Auladehi wa Ashabeehi & kahe – Yaa laytani kunto ma’akum fa afooza fawzan azeema.Source : Almanac (Muharram)
- I. Sajjad (AS)Har baat me jooth bolne se parhez karo chhota ya bada, sanjidgi me ya mazaak me. Kyunki agar koi mamuli bato’n me jhoot bolne lagta hai to jald hi uski jur’at badh jaati hai aur wo phir ahem bato me (bhi) jhoot bolne lagta hai.Source : Jadeed Fiqhi Masael (Ayatullah Seestani)
- I .Reza (AS)Sadqa dene se YAQEENI (mukarrar ki huwi) aafat tal jaati hai. Sadqa dena sabse qimati bachat hai.Source : Wasiyyatnama (Ayatullah Mamkani)
- Rasule Khuda (SAWW)Jab tak momin 5 waqt ki namaz ko pabandi e waqt se padhta hai to shaitan us say khauf-zada rehta hai. (Wasael us Shia)Source : Jadeed Fiqhi Masael (Ayatullah Seestani)
- Rasule Khuda (SAWW)Roze qayamat Khuda k nazdeek sabse azeem manzilat us shakhs ki hogi jo rooye zameen par logo’n ko sabse ziyada nasihat karta raha hai.Source : Wasiyyatnama (Ayatullah Mamkani)
- H. Ali (AS)Agar Allah ke siwa aur bhi koi khuda hota, to us khuda ke bhi paigamber aur rasool hote.Source : Wasiyyatnama (Ayatullah Mamkani)
- Rasule Khuda (SAWW)Jawani ko budhape se pehle, sahet ko bimari se pehle, fursat ko masrufiat se pehle, taakat ko kamzori se pehle & zindagi ko maut se pehle GANIMAT samjho (aur uska faydaa uthao)Source : Wasiyyatnama (Ayatullah Mamkani)
- Rasule Khuda (SAWW)Jo muslim subh sadiq se suraj nikalne tak apne musalle par baitha rehta hai (Ibaadat & Tilawat karta hai) Allah ose jahannam ki aag se bachaega.Source : Children’s Guide to Islam
- Rasule Khuda (SAWW)Muslim wo hai ke jiske haath aur zabaan se musalman salamat hai.Source : Children’s Guide to Islam
- Rasule Khuda (SAWW)Jiske dil me zarra baraabar bhi takabbur hoga, wo Jannat me daakhil nahi hoga.Source : Children’s Guide to Islam
- H. Ali (AS)Kisi k gunaah beparda karne me jaldi na karo kyu k wo maaf ho sakte hai, & apne 1 chhote gunaah se bhi khud ko mehfuz na samjo kyu k tumhe iski sazaa ho sakti hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Gunaah)
- H. Ali (AS)Jab Allah kisi bande ko zaleel karna chaahta hai to ilm ka darwaza uske liye band kar deta hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)
- H. Ali (AS)Haq se badhkar taarif karna CHAAPLUSI hai; aur haq se kam taarif karna ya to bolne ki kamzori hai ya phir HASAD (jealousy) hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Taarif)
- H. Ali (AS)Tumhare 3 dost hai & 3 dushman. Tumhare dost = tumhara dost, dost ka dost, dushman ka dushman. Tumhare dushman = tumhara dushman, dost ka dushman, dushman ka dost.Source : Tajalliyate Hikmat (Dost)
- H. Ali (AS)Aalim jaahil ko samajh sakta hai kyun k wo pehle kabhi jaahil tha. Jaahil aalim ko nahi samajh sakta kyun k wo pehle kabhi aalim na tha.Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)
- H. Ali (AS)FITNO’N aur BIDA’TO’N ki alaamatei’n (nishani) NA BANO balke ehle jamaat ne jo kuchh tai kiya hai OOSI KE paaband raho.Source : Tajalliyate Hikmat (Giroh, Jamaat Pg 107)
- H. Ali (AS)Sabse badtareen dost wo hai jiske liye rasmo-riit (formality) nibhani padti hai.Source : Nahjul Balagah
“Rabbana Taqabbal Minna Innaka Antas Samee’ul ‘Aleem”
“Our Lord! Accept (this service) from us: For Thou art the All-Hearing, the All-knowing.”(Holy Quran Chapter 2: Verse 127)
0 comments:
Post a Comment