Mazeed aapney Shiyo'n ke haalaatey haazra me Ittehaad par roshnee daaltey huwey bataaya ki
"Ittehaad zaroori, par sirf is tarah ki ladaai/ jaghada nahi honaa.. par Ittehaad k liye apne Aqidey ko badalna nahi hai..aage aapney yeh bhi bayaan kiyaa ki aajkal log siaasat me apni roti sekney k liye deen ko nishaana banaa rahey hai. Baaz rahey aisee logo se jo in chakkaro me aakar Aqidey ko barbaad kar rahey hai.."
Aap ne ek mauzoo par roshni daaltey huwe batayaa ki "rishtedaari ki binaa par kisi ko mansoob nahi kiya ja sakta, jo buraa hai usko buraa kahnaa hai, jis ne Rasool(s.a.w.a) aur Fatema(s.a) ko sataaya unki mazammat karna chaahiye, chaahey wo koi bhi ho'n, Quraan aur tareekh k samandar se aapney batayaa ki Rasool(s.a.w.a) k chachaa Abu lahab aur H. Loot (a.s) 'O H. Nooh(a.s) ki Biwi jo deen ko nuksan deh thi unkee bhi Quraan ne mazammat ki hai. Aadam k betey qaabil ko nisbat ki binaa par ehteraam nahi kiyaa ja sakta. Fir'on ki biwi Aasiya Mo'menaa thi, to nisbat honey k bawjoo Qur'aan ne mazammat ki hai. Is tarah k Aqa'eedi Mauzo'n ko khitaab kar k Mo'meneen e Mahuva ko bakhabar kiya.

Bahot khoob Maulana!!
ReplyDelete