Maulana Athar Sahaab ne Ayyame Fatemiyah ki Majaalise Khitaab farmayee

                                                                   Ayyame Fatemiyah ki isteqbaali Majaalis ka daura Maulana Mirza Mohammed Athar sahaab ne Gujarat k Mahuva me Khitaab farmaaya. Is Majaalis k silsiley k dauraan aap ne Mukhtaleef Mauzoo'aat par Roshni daali. Aap ne Ahlebayt(a.s) k gharaaney ki Aurto'n k kirdaar aur tareekh k siyaasi paaro k propaganda par bhi khitaab kiyaa. Ayyame Fatemiyah me Mauzoo e Fadak aur Bibi (s.a) k dar ko jalaaney k waaqe'aat ka zikr kiyaa.

Mazeed aapney Shiyo'n ke haalaatey haazra me Ittehaad par roshnee daaltey huwey bataaya ki
"Ittehaad zaroori, par sirf  is tarah ki ladaai/ jaghada nahi honaa.. par Ittehaad k liye apne Aqidey ko badalna nahi hai..aage aapney yeh bhi bayaan kiyaa ki aajkal log siaasat me apni roti sekney k liye deen ko nishaana banaa rahey hai. Baaz rahey aisee logo se jo in chakkaro me aakar Aqidey ko barbaad kar rahey hai.."
Aap ne ek mauzoo par roshni daaltey huwe batayaa ki "rishtedaari ki binaa par kisi ko mansoob nahi kiya ja sakta, jo buraa hai usko buraa kahnaa hai, jis ne Rasool(s.a.w.a) aur Fatema(s.a) ko sataaya unki mazammat  karna chaahiye, chaahey wo koi bhi ho'n, Quraan aur tareekh k samandar se aapney batayaa ki Rasool(s.a.w.a) k chachaa Abu lahab aur H. Loot (a.s) 'O H. Nooh(a.s) ki Biwi jo deen ko nuksan deh thi unkee bhi Quraan ne mazammat ki hai. Aadam k betey qaabil ko nisbat ki binaa par ehteraam  nahi kiyaa ja sakta. Fir'on ki biwi Aasiya Mo'menaa thi, to nisbat honey k bawjoo Qur'aan ne mazammat ki hai. Is tarah k Aqa'eedi Mauzo'n ko khitaab kar k Mo'meneen e Mahuva ko bakhabar kiya.

Written by

We are group of Shia students whose aim is to make reach the fact about real islam and answer the doubts raised against shiaism in mondern days.

1 comments:

 

© 2013 SHIA - Q&A. All rights resevered. Designed by Templateism

Back To Top