Gadeer Asha'ar: Taaza Kalaam

Taaza Kalaam ... 

Mai batata huN tumhe kab se hai unwaane Ghadeer
Kunto Kanzan Makhfiyya tha pehla Elaane Ghadeer

Ayate Akmalto ne Elaan ye bhi kar diya
Bas wahi arkaane DeeN haiN jo haiN Arkaane Ghadeer

Deene Haq ki pasbaani masjidoN se hai magar
MasjidoN par shakle mimbar me hai Ehsaane Ghadeer

Inko kankar mariye aur unpa lanat bhejiye
Teen Shaitaane Mina haiN Teen Shaitaane Ghadeer

Bughze Haider meiN Tawaafe khaana-e-kaba na kar
Chodh de Shaitani chakkar ban jaa Insaane Ghadeer

Ismein khushbuey wilaye HAIDARE KARRAR hai
Ye Hamara dil nahi hai ye hai Guldaane Ghadeer

Misle Quran hai Ghadeere khum qasam Qur'aan ki 
Qalb hai Ahle wila ka jaise Juzdaane Ghadeer

DonoN HaathoN ko uthana aur kehna Ya Ali,
MURASALE AZAM ki ye seerat bani Shane Ghadeer

Ay ALI (AS) ke LAAL(AS) Aakar ham se Bay'at lijiye
Qalbe Momin me tadapta hai ye Armaane Ghadeer

Apne Rahbar sirf Haider aur gyarah unke LAAL (AS)
Kyunki apne qalb ko ab tak hai I'Qaane Ghadeer

Kaise Maane Hum kisi ko Bhi Wali ul Amr Jab,
Hum nahi bhule abhi Tak Ahd O Pemaane Ghadeer

Majlise Maahe Aza meiN bole ye MAULA RAZA (AS)
Nusrate Sarwar na Bhoolo Misle Elaane Ghadeer 

JayeNge Har Saal lene Bheek me Hum Maarefat
Shaam ke Zindaan me hai Ek Quraane Ghadeer 

Paak khuN hai sharte awwal Karbalayi ke liye ,
HaN Saqifayi na jaane kya hai Imaane Ghadeer ..


Written by

We are group of Shia students whose aim is to make reach the fact about real islam and answer the doubts raised against shiaism in mondern days.

2 comments:

 

© 2013 SHIA - Q&A. All rights resevered. Designed by Templateism

Back To Top